ALLAH NE ASMAANOU AUR ZAMEENOU KO 6 DIN ME PAIDA KIYA:
2. Beshak kitab ka nazil hona parwardigar e - Alam ki taraf se hai.
2 . تَنْزِيْلُ الْكِتٰبِ لَا رَيْبَ فِيْهِ مِنْ رَّبِّ الْعٰلَمِيْنَ
2 . [This is] the revelation of the Book about which there is no doubt from the Lord of the worlds.
...................................................
4. Allah hi toh hai jisne Asmaanou aur zameenou ko aur Jo cheezein in donou me hai ( sub ko ) 6 din me paida kiya , phir Arsh pe khayam hogaya, uskay Siva tumhara na koi dost hai aur na koi sifarish karne wala hai, kya tum nasiyath nahi puchte.
4 . اَللّٰهُ الَّذِيْ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا فِيْ سِـتَّةِ اَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوٰي عَلَي الْعَرْشِ ۭ مَا لَكُمْ مِّنْ دُوْنِهٖ مِنْ وَّلِيٍّ وَّلَا شَفِيْعٍ ۭ اَفَلَا تَتَذَكَّرُوْنَ
4 . It is Allah who created the heavens and the earth and whatever is between them in six days; then He established Himself above the Throne. You have not besides Him any protector or any intercessor; so will you not be reminded?
ALLAH ZAHIR AUR POSHIDA CHEEZOU KO JANNEY WALA HAI:
6. Wohi poshida cheezou ko janney wala hai, zabardast Rahem wala hai.
6 . ذٰلِكَ عٰلِمُ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ الْعَزِيْزُ الرَّحِيْمُ
6 . That is the Knower of the unseen and the witnessed, the Exalted in Might, the Merciful,
...................................................
7. Jisney har cheez ko achi tarah banaya aur insaan ki paidaish ko mitti se shuru kiya.
7 . الَّذِيْٓ اَحْسَنَ كُلَّ شَيْءٍ خَلَقَهٗ وَبَدَاَ خَلْقَ الْاِنْسَانِ مِنْ طِيْنٍ
7 . Who perfected everything which He created and began the creation of man from clay.
MAUT KA FARISHTA TUMHARI ROOH KHABZ KARNE MUQARAR KIYA GAYA HAI:
11. Aap farmadijiye maut Ka farishta Jo tumpar muqarar kiya gaya hai tumhari rooh khabz karleta hai, phir tum apnay rab ki taraf lautae jaougay.
11. قُلْ يَتَوَفّٰىكُمْ مَّلَكُ الْمَوْتِ الَّذِيْ وُكِّلَ بِكُمْ ثُمَّ اِلٰى رَبِّكُمْ تُرْجَعُوْنَ
11 . Say, "The angel of death will take you who has been entrusted with you. Then to your Lord you will be returned."
GUNAAHGAR KAHEGA HUMKO WAPIS DUNIYA ME BHEJDE TAKAY NAIK AMAL KAR SAKE:
12. Agar aap us waqt dekhein jabh Gunaahgar apnay rab ke samne sar jhukae hungay ( aur kaherai hongay ) Kay hamare rab ! Humney dekhliya aur sunliya, toh humko wapis duniya me bhej dein kay hum naik Amal kare, Bilashuba humko pura yaqeen hasil hogaya.
12 . وَلَوْ تَرٰٓي اِذِ الْمُجْرِمُوْنَ نَاكِسُوْا رُءُوْسِهِمْ عِنْدَ رَبِّهِمْ ۭ رَبَّنَآ اَبْصَرْنَا وَسَمِعْنَا فَارْجِعْنَا نَعْمَلْ صَالِحًا اِنَّا مُوْقِنُوْنَ
12 . If you could but see when the criminals are hanging their heads before their Lord, [saying], "Our Lord, we have seen and heard, so return us [to the world]; we will work righteousness. Indeed, we are [now] certain."
ALLAH HAR SHAQHS KO HIDAYETH DETA HAI LEKIN GUNAAHGAR KO DOZAQ QARAR KI GAYI HAI:
13. Aur agar hum chahatay toh har shaqhs ko hidayeth naseeb farmadete, lekin meri taraf se ye baath Qarar ho chuki hai kay me dozaq ko jinnou aur insaanou se bhardunga.
13 . وَلَوْ شِئْنَا لَاٰتَيْنَا كُلَّ نَفْسٍ هُدٰىهَا وَلٰكِنْ حَقَّ الْقَوْلُ مِنِّيْ لَاَمْلَئَنَّ جَهَنَّمَ مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ اَجْمَعِيْنَ
13 . And if we had willed, We could have given every soul its guidance, but the word from Me will come into effect [that] "I will surely fill Hell with jinn and people all together.
...................................................
14. Aur maza chako isliye Kay tumne bhula rakha tha is din kay mulaqath ko aj hum bhi tumko bhula detay hai, aur Jo kaam tum kartay the unkay badlay hamesha ka azab chakhtay raho.
14 . فَذُوْقُوْا بِمَا نَسِيْتُمْ لِقَاۗءَ يَوْمِكُمْ ھٰذَا ۚ اِنَّا نَسِيْنٰكُمْ وَذُوْقُوْا عَذَابَ الْخُلْدِ بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُوْنَ
14 . So taste [punishment] because you forgot the meeting of this, your Day; indeed, We have [accordingly] forgotten you. And taste the punishment of eternity for what you used to do."
HUMARI AAYAATH PER IMAAN LATEY HAI:
15. Humari aayaath per to wohi imaan latey hai kay jabh wo aayaath unko yaad dilae jati hai toh sajday me girpadhte aur apnay rab ki tareef kay saath tasbeeh kartay hai, aur wo guroor nahi kartay.
15 . اِنَّمَا يُؤْمِنُ بِاٰيٰتِنَا الَّذِيْنَ اِذَا ذُكِّرُوْا بِهَا خَرُّوْا سُجَّدًا وَّسَبَّحُوْا بِحَمْدِ رَبِّهِمْ وَهُمْ لَا يَسْتَكْبِرُوْنَ
15 . Only those believe in Our verses who, when they are reminded by them, fall down in prostration and exalt [ Allah ] with praise of their Lord, and they are not arrogant.
APNAY RAB KO KHOUF AUR UMEED SE PUKARTAY HAI:
16. Aur unkay pahelo bistarou se alag rahetay hai aur apnay rab ko khouf aur umeed se pukartay hai aur humne Jo unko diya hai usme se kharach kartay hai.
16 . تَـتَجَافٰى جُنُوْبُهُمْ عَنِ الْمَضَاجِعِ يَدْعُوْنَ رَبَّهُمْ خَوْفًا وَّطَمَعًا ۡ وَّمِـمَّا رَزَقْنٰهُمْ يُنْفِقُوْنَ
16 . They arise from [their] beds; they supplicate their Lord in fear and aspiration, and from what We have provided them, they spend.
ANKHOU KI THANDAK UNKE AAMAAL KA SILA HAI:
17. Aur koi shaqhs nahi janta Kay unkay liye Ankhou ki thandak ko Jo saman chupa rakha hai, ye unkay aamaal ka sila hai Jo WO kartay hai.
17 . فَلَا تَعْلَمُ نَفْسٌ مَّآ اُخْفِيَ لَهُمْ مِّنْ قُرَّةِ اَعْيُنٍ ۚ جَزَاۗءًۢ بِمَا كَانُوْا يَعْمَلُوْنَ
17 . And no soul knows what has been hidden for them of comfort for eyes as reward for what they used to do.
...................................................
18. Toh kya Jo momin ho wo nafarman kay barabar hosakta hai? Donou barabar nahi hosaktay.
18 . اَفَمَنْ كَانَ مُؤْمِنًا كَمَنْ كَانَ فَاسِقًا ڼ لَا يَسْـتَوٗنَ
18. Then is one who was a believer like one who was defiantly disobedient? They are not equal.
JO NAIK AAMAAL KARTAY HAI JANNAT UNKA THEKANA HAI AUR JO NAFARMAAN HAI UNKAY LIYE DOZAQ HAI:
19. Jo imaan laey aur naik aamaal kartay rahey unkay liye jannatein thekana hai, batour mahemaani kay un kamou ki jo wo log kartay hai.
19 . اَمَّا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا وَعَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ فَلَهُمْ جَنّٰتُ الْمَاْوٰي ۡ نُزُلًۢا بِمَا كَانُوْا يَعْمَلُوْنَ
19 . As for those who believed and did righteous deeds, for them will be the Gardens of Refuge as accommodation for what they used to do.
...................................................
20. Aur Jo nafarmani kartay hai toh unkay liye dozaq hai jabh chahingay kay isme se nikal jae, phir usme lauta diye jaengay aur usme kaha jaega, jis dozaq ke azab ko jhuta kahete the uskay mazay chakho.
20 . وَاَمَّا الَّذِيْنَ فَسَقُوْا فَمَاْوٰىهُمُ النَّارُ ۭ كُلَّمَآ اَرَادُوْٓا اَنْ يَّخْـرُجُوْا مِنْهَآ اُعِيْدُوْا فِيْهَا وَقِيْلَ لَهُمْ ذُوْقُوْا عَذَابَ النَّارِ الَّذِيْ كُنْتُمْ بِهٖ تُكَذِّبُوْنَ
20 . But as for those who defiantly disobeyed, their refuge is the Fire. Every time they wish to emerge from it, they will be returned to it while it is said to them, "Taste the punishment of the Fire which you used to deny."
AZAB - E - DUNIYA KA BHI MAZA CHAKHAENGAY:
21. Hum unko ( Qayamath Kay ) badhay Azab Kay siva Azab - e - duniya ka bhi maza chakaengay, shayad ye Baaz ae.
21 . وَلَنُذِيْـقَنَّهُمْ مِّنَ الْعَذَابِ الْاَدْنٰى دُوْنَ الْعَذَابِ الْاَكْبَرِ لَعَلَّهُمْ يَرْجِعُوْنَ
21 . And we will surely let them taste the nearer punishment short of the greater punishment that perhaps they will repent.
ISSEY BADHKAR KAUN ZALIM HAI JO RAB KI AAYAATH SE MU PHERLEIN:
22. Aur issey badhkar kaun zalim hai jiskay unkay rab ki aayaath se nasiyath ki jaey toh phir wo unse mu pherlein, hum aise mujrimou se badla lingay.
22 . وَمَنْ اَظْلَمُ مِمَّنْ ذُكِّرَ بِاٰيٰتِ رَبِّهٖ ثُمَّ اَعْرَضَ عَنْهَا ۭ اِنَّا مِنَ الْمُجْرِمِيْنَ مُنْتَقِمُوْنَ
22 . And who is more unjust than one who is reminded of the verses of his Lord; then he turns away from them? Indeed We, from the criminals, will take retribution.
JO SABER KARTAY HAI AUR HUMARI AAYAATH PER YAQEEN RAKHTE HAI:
24. Aur inme se humne paishva banae the, Jo hukum se hidayath kiya kartay the, jabhkay wo saber kiye rahe, aur wo HUMARI aayaath per yaqeen rakhtay the.
24 . وَجَعَلْنَا مِنْهُمْ اَىِٕمَّةً يَّهْدُوْنَ بِاَمْرِنَا لَمَّا صَبَرُوْا ڜ وَكَانُوْا بِاٰيٰتِنَا يُوْقِنُوْنَ
24 . And We made from among them leaders guiding by Our command when they were patient and [when] they were certain of Our signs.
............................................,......
25. Beshak apka rab unkay darmiyan Qayamath kay din un Amwar me faisla kardega jinme wo apus me iqhtilaf kartay hai.
25 . اِنَّ رَبَّكَ هُوَ يَفْصِلُ بَيْنَهُمْ يَوْمَ الْقِيٰمَةِ فِيْمَا كَانُوْا فِيْهِ يَخْتَلِفُوْنَ
25 . Indeed, your Lord will judge between them on the Day of Resurrection concerning that over which they used to differ.
FAISLAY KE DIN KAAFIROU KA IMAAN LANA KOI FAIDA NAHI:
29. Ap faramadijiye faislay kay din toh kaafirou ko unka imaan lana koi faida nahi dega aur na unko muhalath di jaegi.
29. قُلْ يَوْمَ الْفَتْحِ لَا يَنْفَعُ الَّذِيْنَ كَفَرُوْٓا اِيْمَانُهُمْ وَلَا هُمْ يُنْظَرُوْنَ
29 . Say, [O Muhammad], "On the Day of Conquest the belief of those who had disbelieved will not benefit them, nor will they be reprieved."
..................................................
30. Toh ap unse mu pherlein, aur intezar kare ye bhi intezar kar rahe hai.
30 . فَاَعْرِضْ عَنْهُمْ وَانْتَظِرْ اِنَّهُمْ مُّنْتَظِرُوْنَ
30 . So turn away from them and wait. Indeed, they are waiting.
**********************************************************************************