













































































































































































































































































































































































































































































































🎗📌Gunah-E-Kabira List :
🔖 Allah kay saath shirk karna.
🔖 Qatal karna.
🔖 Jaadu karna.
🔖 Namaaz chorna.
🔖 Zakaat ada na karna.
🔖 Mah-e-ramazan ka roza bina uzr chorna.
🔖 Taqat kay bawajood hajj na karna.
🔖 Walaedaen ki Nafarmani karna.
🔖 Qareebi rishte daaron se qata'a ta'alluq kar lena aur sila rehmi na karna.
🔖 Zina karna.
🔖 Amal-e-qom e loot.
🔖 Soodi laen daen.
🔖 Yateem ka maal khana.
🔖 Allah aur Rasool par jhoot bolna.
🔖 Maidan-e-Jang se farar.
🔖 Hakim-e-Waqt ka re'aya ko dhoka dena aur unn par zulm karna.
🔖 Ghamand karna aur deengein marna.
🔖 Jhooti gawahi dena.
🔖 Sharab Peena.
🔖 Jua baazi.
🔖 Paakdaman aurtoun par toumat lagana.
🔖 Maal-e-ghaneemat mein khayanat karna.
🔖 Chori karna.
🔖 Daaka dalna.
🔖 Jhooti kasam khana.
🔖 Zulm o zyaditi karna.
🔖 Ghunda tax wasool karna.
🔖 Haraam khana.
🔖 Khudkushi karna.
🔖 Aksar baton mein jhoot bolna.
🔖 Allah kay qanoon sey hutt kar faisla karna.
🔖 Faisla karney per rishwat lena.
🔖 Jins e mukhalif ki mushabihat ikhtiyar karna.
🔖 Dayyoosi ikhtiyar karna yani apney ghar walon mein akhlaqi buraee(zina) ko bardaasht karna.
🔖 Halala karney wala aur halala karwaney wala.
🔖 Peeshaab kay chee'nton sey perhaez na karna.
🔖 Dunya kay husool kay liye Ilm hasil karna aur ilm ko chupana khayanat karna.
🔖 Ehsaan jatlana.
🔖 Taqdeer ko jhutlana.
🔖 Logon ki posheeda baton kit oh lagana.
🔖 Chughal khori karna.
🔖 Bilawajah la'anat karna.
🔖 Dhoka dena aur ahed poora na karna.
🔖 Najoomi aur kahan ki tasdeeq karna.
🔖 Khawand ki Nafarmani karna.
🔖 Bilazaroorat tasweer banana.
🔖 Museebat kay waqt tamanchey marna, ▫️noha karna, ▫️kaprey pharna, ▫️ser ke baalon ko mundwadena, ▫️baalon ko nochna, ▫️halakat aur tabahee ki bud dua'en karna.
🔖 Zulm aur sarkashi karna.
🔖 Kamzor ghulam, londi, biwi ya janwar per zulm karna.
🔖 Parosi ko takleef dena.
🔖 Musalmaan ko takleef ya gali dena.
🔖 Takabbur ya baraee ki gharz sey tehband takhno'n sey neechey rakhna.
🔖 Soney chaandi kay bartanon mein khana peena.
🔖 Mardon ka sona ya resham pehenna.
🔖 Ghulam ka bhaag jana.
🔖 Ghaer Allah kay naam per zibah karna.
🔖 Jaan boojh kar haqeeqi nasb ka izhaar karna.🔖 Jhagraloo pan ka muzahira karna.
🔖 Izaafi pani rok lena.
🔖 Kam tolna ya kam naapna.
🔖 Allah ki tadbeero'n sey bey khauf hona.
🔖 Murdaar ya khinzeer ka gosht khana.
🔖 Juma'a aur farz namaz ko terk kardena.
🔖 Ba jama'at ki bajaey tanha namaz parhna.
🔖 Allah ki rehmat sey mayoos hona.
🔖 Musalmaan ko kafir kehna.
🔖 Dhoka fareeb dena.
🔖Sahaba karam mein sey kisiko gaali dena.
🔖 Ghalat Faisla karney wala qazi.
🔖 Jhagrey kay doran gaaliyan dena.
🔖 Nasb ka tana dena.
🔖 Mayyat par noha karna.
🔖 Zameen kay nishanaat mitana.
🔖 Ghalat rivaj paeda karna ya gumraahi ki da'awat dena.
🔖 Ja'ali husn paeda karna.
🔖Musalman ki taraf aslaha kay saath ishara karna.
🔖 Hudood-e-haram mein zyaditi karna.
🔖📍🔖🔖🔖📍🔖























